2FA

2 Factor Authentication Online account ki security jo double karne ke liye use hota hai. Jese aap Jab bhi kisi Account me Login karte hai to waha apna username or Password dalte hai.

Agar aapne 2 Factor Authentication (2FA) on karke rakha hai to sahi Password dalne ke baad aapko apna 2FA Code dalna hoga uske baad aap account me Login kar payege.

2FA 1

2FA ka sabse bada fayda ye hai ki agar kisi ko hamare password ka pata chal bhi jaye fir bhi wo hamare account me login nahi kar payeege jab tak unke pass 2FA code nahi hoga..

2FA Code ke liye hame Google Authenticator ya Authy App ka use karna hota hai, ussi par 2FA code rehta hai.

« Back to Glossary Index