DCA ka matlab hota hai Dollar Cost Averaging.
DCA ka istmal investment ke liye kiya jata hai ye ek tarah ki Investment technic hai jisme jo bhi hame Invest karna hai wo ek war me hi pura invest karne ki wajaye thoda thoda har mahine ya ek fix time me invest kiya jata hai.
Jese maan lo aapne BTC me 10k invest kiye jab uska rate $60k tha jo aapko Long time ke liye HODL karke rakhna hai.. to ho sakta hai aapne jis time liya uske baad price niche aa jaye.. to aese me to aapka nuksan ho jayega.. issi nuksan ko kam karne ke liye DCA technic ka istmal kiya jata hai..

Jese maan lo aapko 12000 rupee invest karna hai to aap ek sath hi pura invest karne ki jagah har mahine 1000 rupee invest kare.. to Price upar jaye ya niche aapke sabhi Price ka average ho jayega jisse last me aapko fayda hi rahega.
Agar aapko dekhna hai ki aap har mahine Bitcoin me investment karte to aapko kitna percent profit hota ho aap DCAbtc.com par calculate karke dekh sakte hai..
Simple term me ham isko SIP bhi kehte hai, jisme ham har mahine fix amount ka investment karte hai.. bhale price upar jaye ya niche.
« Back to Glossary Index