FUD jiska full form hota hai “Fear, Uncertainty and Doubt“.

Cryptocurrency ke world me jab bhi kisi badi sasntha ya kisi Person ke through koi News aati hai jo negative hai, jiske karan Price niche jane lagta hai usko FUD kehte hai.
Jese bahut war aisa hota hai, kisi company ko saste me Bitcoin kharidna hai to wo jaan bhuj kar bhi FUD matlab fake News fellate hai, taki log darke mare Bitcoin sell karna start karde or Coin ka rate niche chala jaye or ham saste rate me Bitcoin ko kharid le.
To agar aap Crypto World me hai to iss baat ka dhiyan rakhe ki koi Bhi FUD News aapke samne aati hai to aapko kya karna hai.. Sirf News sunkar faisla nahi lena hai usko kaise manage karna hai wo sochna hai.
FUD FOMO ka ulta hai, Log FUD me aakar dar ke mane apne Bitcoin ko sell kar dete hai, wahi FOMO me aakar mehge rate me Bitcoin ko kharid lete hai.
« Back to Glossary Index