
Hardware Wallet Pendrive ki tarah dikhne wale Physical device rehte hai, jisme ham apni Cryptocurrency ki Private Key ko Offline secure store karke rakh sakte hai. Ye jo Device rehte hai wo special tarike se encrypted rehte hai jisse iski security badh jati hai, or samse khas baat jo inn device ki wo ye ki ye Internet se bilkul connect nahi hote, jisse koi bhi Hacker hamare Crypto ko chura nahi sakta.
Jo Hardware Wallet hai wo Cold Wallet ki category me aate hai, jo kisi bhi tarah se Internet se bilkul bhi connect nahi hote.. ussi ke sath agar koi aese wallet hai jo Internet se connect hote hai to unko Hot Wallet kehte hai..
Hardware Wallets ki agar baat kare to market me bahut sare Secure hardware Wallet uplabdh hai, jo sabse popular hai wo hai Ledger Nano S, Trezor or Keepkey
« Back to Glossary Index