Hot Wallet

Hot Wallet 1

Hot Wallet Cryptocurrency ke wo wallet hote hai jisme hamare Private save rehti hai wo Internet se connect rehta hai. Hot Wallet ki category Web Server Waller, Mobile Wallet, PC Software wallet aate hai.

Agar Hot Wallet ki Security ki baat kare to inko thoda kam secure mana jata hai Cold Wallet ke compare me, kyu ki jo hamari Private ki hai wo aise device me save hai jo Internet se connect hai, to kahi na kahi ye thoda rist to rehta hi hai ki kahi koi Hacker hamare Mobile ya Computer ko hack karke hamari Private key naa chura le.

Agar aap Hot Wallet apni Crypto ke liye use karte hai to iss baat ka dhiyan rakhe, ki koi bhi aisi link par aap click naa kare uske baare me aapko jankari naa ho.. Hackers Email me phishing link send karke bhi hack kar lete hai.

Agar aap Kisi Exchange par apne Crypto ko HODL karke rakhte hai, to aese me ye risk hai ki agar Exchange Hack ho gaya to aap apne Crypto ko hamesa ke liye kho dege.. to usse compare kare to HOT Wallet use karna jada secure hai kyu ki aapke coin ki Private ki aapke pass rahegi..

*Agar aapko apne Coins ko Full Secure karke rakhna hai to aap hardware Wallet ka use kare jo ki Cold Wallets ki category me aate hai.

« Back to Glossary Index