P2P

P2P matlab PeerToPeer hota hai,

P2P 1

Ye ek Decentralized Platform ki hota hai jisme koi bhi 2 logo ke bich len den hota hai kisi bhi Third Party ke.. Jisme Buyer or Seller Direct ek dusre se Lenden karte hai.

Jese Ham Bank se paise Transfer karte hai to Bich me hamari bank hoti hai jo hamare account se paise nikal kar jis account me ham transfer kar rahe hai unke account me daal deti hai.. par Decentralized Word me ham P2P ka use karne direct lenden kar sakte hai.

Jese Agar aapko Bitcoin kharidna hai ya sell karna hai to aap Kisi Crypto Exchange ki jagha P2P Exchange ka use kar sakte hai..

Maan lo aapko Bitcoin kharidna hai 1000 rupee ke, to jo bhi method se aapko payment karni hai wo aap select karege.. maan lo aapne PhonePe select kiya to jo bhi Bitcoin ko sell kar rahe hoge or PhonePe se payment le rahe hoge uski detail aapke pass aa jayegi or jese hi aap usko paise transfer kar dege Bitcoin aapke account me aa jayege.

P2P me deal karne me jo ek sabse bada risk hota hai wo ye ki maan lo hamne paise transfer kar diye, par samne wale ne hame uske baad bhi bitcoin send nahi kiye to kya hoga.. to iska simple answer hai, ham jab bhi kisi site se P2P karte hai to usne pass jitna BTC hota hai wo waha lock ho jata hai, or hamare Payment karne ke baad wo jese hi conform karte hai BTC hamare pass aa jata hai.. agar hamne payment kar diya fir bhi samne wala conform naa kare to ham site se contact karke uski report kar sakte hai or payment ka proof dekar apne Bitcoin le sakte hai.

Konse Best P2P Exchange hai or unki kya khasiyat hai wo mene yaha share ki hai, me aapko suggest karuga.. aap P2P exchange jarur try kare.. ye ek best tarika hai apni Crypto ko Buy or Sell karne ka.

ye ek tarah se Service hai jisme

« Back to Glossary Index