Pump and Dump

Pump and Dump 1

Pump and Dump” ek tarah ka illegal tarika hai kisi bhi Cryptocurrency ka Price upar niche karne ka, jisme Log Crypto ka Price upar karte hai (Pump) karte hai jada Price me sell karne me liye, or Jada Rate me sell karne ke baad Price ko niche late hai (Dump karte hai) apna Profit banane ke liye.

Ye koi Group ho sakta hai ya koi Person bhi ho sakta hai, jo apne Fayde ke liye Fake News felata hai market me jisse Log FOMO or FUD me aakar kharidne or bechne lagte hai.

Jese agar crypto ko kam Price me kharida hai, to usse coin se related bahut sari positive news share ki jayegi, jisse jada se jada log usko kharidte jaye.. or jese hi upar upar jata hai apne profit ke liye usko sell kar diya jata hai.. tikh uska ulta Dump karne ke liye bhi Fake News fela kar logo ko daraya jata hai.

Agar aap Crypto field me kahi Group ya community me jude hai to aapko ye sabd jarur sunne ko mila hoga kahi na kahi.. me aapko suggest karuga agar aap New hai Trading me to Pump and Dump Coin se dur rahe.

Normally Pump and Dump ke liye wo coin select kiya jata hai jisko jada log nahi jante, or aese exchange par usko kiya jata hai yaha uski Liquidity kam ho, take thode bhi Buy Sell karne par Price Pump and Dump hone lage.

« Back to Glossary Index