Agar Aap Cryptocurrency me trading karte hai, to aapne Binance Exchange ke ware me suna to jarur hoga, or ho sakta hai aapka ispar account bhi ho.. agar nahi hai to abhi bana lijiye, q ki ye sabse Best Exchange hai World me Cryptocurrency par trading karne ke liye.
Binance Exchange abhi jada purana nahi hai, par jis trha ki iski popularty badh rahi hai, to top par aa gaya hai.
Sikke.in par aaj iss post me Binance Kya hai or Binance Exchange Kaise Use kare uski puri jankari aapko milne wali hai, jisme har ek point ko cover kara jayega, taki jisko iske ware me bilkul bhi jankari nahi hai wo bhi isko use kar sake.
*Last me Binance kaise use karna hai Hindi Video bhi add kiya hai, taki aap usko dekh kar or achi se samaj sake. 🙂

Binance Kya hai ?
Binance Ek Cryptocurrency Exchange hai, jisme 50+ Cryptocurrency add ho chuki hai.. jinko ham kharid sakte hai or Sell kar sakte hai.
Binance ki jo sabse khas baat hai wo ye ki iska jo interface hai wo bhut hi aasan hai, jisko koi bhi naya banda bhi aasani se use kar sakta hai.
Agar aapka Binance account nahi hai to aap niche di hui button par click karke sabse phele to account bana lijiye.
Binance ke Android or Iphone ke liye App bhi hai, jinki madad se aap Mobile me bhi isko aasani se use kar sakte hai.
Binance se Cryptocurrency kharid sakte hai or beach sakte hai, par agar aapko koi bhi currency kharidna hai to uske liye aapke pass phele se Bitcoin (BTC), Ethereum (ETH) ya Binance Coin (BNB) hona chaiye, tabhi aap koi dusra coin kharid sakte hai.. yaha aap Rupee ya Doller jama karke Cryptocurrency nahi kharid skate..
Bitcoin Kya hai or Ethereum kya hai ye to aap jante hi hoge, ye top ki cryptocurrency’s hai, iske aalawa Binance Coin se bhi aap koi bhi coin kharid sakte hai Binance.com site par, ye Binance site ka official coin hai, ye bhi bhut popular ho raha hai, aap Binance Coin market cap or rank aap dekh sakte hai.
Abhi iske 50+ badiya Crypto Coin add ho cuke hai, or har hafte ek na ek naya coin add hote ja rahe hai.
Agar aapke Pass phele se Bitcoin ya Ethereum hai to achi baat hai aap Binance Exchange ka use karne ke liye teyar hai or agar nahi hai to koi baat nahi, Zebpay se Bitcoin Kaise kharidte hai uske ware me mene bataya hai aap waha dekh kar phele Bitcoin kharide, uske baad Binance par koi bhi coin kharide.
India me bitcoin kaha se kharide unki best website list bhi mene share ki hai, aap unhi ka use kare bitcoin kharidne ke liye.
To ab aap ye to jaan chuje ho ki Binace ek Badiya Cryptocurrncy Exchange hai, jaha se aap Trading kar sakte hai Cryptocurrency ki ya Crypto Coin ko kharid sakte hai. Chaliye ab dekh lete hai Kaise Binance Exchange ka use karte hai or Kaise koi bhi coin ko Buy-Sell karke paise kama sakte hai.
Binance Exchange Kaise Use karte hai in Hindi
Binance Exchange ke ware me har ek Point ko cover karege taki aapko kahi koi problem naa aaye. ham in Point ko cover karege:
- Binance Exchange Par Account kaise banaye
- Binance Exchange me Paise Deposit kaise kare
- Binance me Trading kaise kare
1: Binance Exchange Par Account kaise banaye
Account banane ki process bhut hi aasan hai, simple aapko uski website par jakar register par click karke form bharna hai.
jese hi aap Form submit karege, aapke email par ek conformation email aayega, usme jo link hogi uspar click karke conform karna hai.. Iss trha aapka account banke teyar ho jayega.
Ab aapko Binance account me login karna hai,
Apna EMail or Password daal kar, login kare.. uske baad account me 2 step verification on kare, account ki security ke liye.
Binance account banana to aasan hai, par isme agar aapko koi dikkat aaye to comment karke jarur bataye…
2: Binance Exchange me Paise Deposit kaise kare
Binance ek Cryptocurrency Exchange hai, par ham isme Doller $ ya Rupee ₹ jama nahi kar sakte.. agar aapko isse koi coin kharidna hai to uske liye aapko phele Bitcoin ya Ethereum jama karna hoga.
India me Bitcoin me kharidna bhut aasan hai, to aap Phele Bitcoin kharide agar aapne nahi kharide hai.. Bitcoin ke liye Zebpay, Unocoin best hai.. inke aalawa bhi jo site hai unki list mene Sikke.in par hi share ki hai aap wo dekh sakte hai.
To me manta hu, aapne phele se kahi se Bitcoin kharid rakhe hai, to un Bitcoin ko Binance me jama karne ke liye aapko yaha jana hai.

- Sabse phele Funds par click kare.
- Deposites Withdrawals par click kare
- Ab BTC search karke uske samne jo Deposit ki button hai uspar click kare
- Jese hi Deposit par click karege, aapke samne ek Bitcoin ka Address aa jayega, jispar Bitcoin send karna hai Binance account me add karne ke liye.
Ab aap apne Bitcoin wallet me jaye jaha aapne bitcoin rakh rakhe hai, agar Zebpay me hai to usse kaise send karna hai wo aap niche image me dekhe.

Jesi Process zebpay me hai Bitcoin send karne ki wahi process dusre Unocoin, Koinex ya kisi bhi dusre wallet me hogi, fir bhi agar aapko yaha koi problem aati hai ki kaise send kare to aap comment karke puch sakte hai.
Jese hi aap Bitcoin Send kar dege, wo Block Chain me 2 war conform hone ke baad Binance account me add ho jayega.. Iss Process me 30minute tak lag sakte hai ya ho sakta hai isse bhi jada time lage, par aap tension naa le, agar aapne sahi address par Bitcoin send kiye hai to wo add ho jayege.
Aap Binance me kitne jama kiye hai to History ke section me dekh sakte hai.
3: Binance Exchange par Trading kaise kare
Binance me Cryptocurrency me trading karna, matlab Crypto coin ko but-sell karna hi bada hi aasan hai, wass hamare pass Bitcoin, Ethereum, ya Binance Coin hona chaiye.. kisi bhi coin ko kharidne ke liye.
aapne pichli step me dekha, Bitcoin Binance account me kaise add karte hai, to ab aap teyar hai Bitcoin se kisi dusre Altcoin ko kharidne ke liye.
Trading karne ke liye Exchange > Basic par jana hai.. fir aapko jo bhi coin kharidna hai usko select karke Buy karna hai ya sell karna hai.
Mene apni ek Post me bataya hai Ripple Coin kaise kharide Binance Exchange se, aap kisi bhi COin ko kharidne ke liye un steps ko follow kare.
Binance Exchange site ko kaise use karte hai or isme kya kya option hai jo hamare kaam ke hai ya kis option se kya hota hai wo sab kuch aap niche diye video me dekh sakte hai.
To ab aap jaan chuke hai Binance Exchage ke ware me sab kuch, iske baad bhi agar aapka koi sabal hai to aap comment karke puch sakte hai.
Sir binance account bnane ke liye aap ki link par click karta hu to link me launchpad.binance.com aata hai but jab money guru ke channel se click karta hu to binance.com aata hai kya ye dono alag alag hai ya ek hi hai mai bahut confuse hu isi liye abhi kisi par account nhi bnaya bta dijiye pleaze
Bhai aap iss link se banao..
https://www.sikke.in/Binance
Sir Me Choti ammount me zebpay se bitcoin kharid loon 10,000 ke kya ya mujhe aage help karenge kuch fayda hoga or zebpay me detail apne parents ki daal doon
Bahut hi badhiya post aapne share kiya hain Thanks
Thanks, it is very informative