Agar Aap Bitcoin ya Cryptocurrency me trading karte hai, or aap Trading karke paise kamana chahte hai to kuch Points hai jo aapko pata hona chahiye, Agar aap bitcoin ya Altcoin ki trading karke Paise kamana chahte hai.
Mene dekha hai jada tar Log jo New hote hai Trading me, wo ye galtiya karte hi hai, jisse jo unka mehnak ka kamaya paisa hota hai wo starting me apni nadani ke karan gawa dete hai.
To chaliye jaan lete hai konse Points hai ya kin bato ka aap ko dhyan rakhna hai Crypto ki trading karte time..
1. Always Use Stop Loss
Agar aap koi bhi Cryptocurrency me Trading kar rahe hai to aapko pata hona chahiye, Crypto currency ka Price upar jayega ya niche koi nahi bata sakta.. wass ham Technical Analysis karke or Market ki news ke according andaja laga sakte hai ki ab Price upar jayega ya niche..
![11 Important: Cryptocurrency Trading Tips [in Hindi] 2 11 Important: Cryptocurrency Trading Tips [in Hindi] 1](https://sp-ao.shortpixel.ai/client/to_auto,q_glossy,ret_img,w_614,h_374/https://www.sikke.in/wp-content/uploads/2021/05/Crypto-Trading-Stop-Loss-in-hindi.png)
Agar aap Crypto me trading karte hai to Price upar jaye to bhut achi baat hai, par agar niche aaye to aap kitna nuksan utha sakte hai uss level par Stop Loss jarur lagaye..
2. Don’t Jump on Fire
Bhut se Log ye galti karte hai, jada tar Crypto trading me naye log ye galti karte hai.. Kisi Coin ka rate jab badne lagta hai to jab 10-15 % badh jata hai uske baad coin me invest karte hai, ye soch kar ki ab or upa jayega… jabke hota ye hai kisi bhi Crypto ki agar achanak se price badta hai to correction ke liye kuch time baad niche bhi aata hai.
Kabhi bhi Coin Buy karne se pehle thoda Technical Analysis karke dekhe ki konsa point sahi rahega kharidne ke liye.
![11 Important: Cryptocurrency Trading Tips [in Hindi] 3 11 Important: Cryptocurrency Trading Tips [in Hindi] 2](https://sp-ao.shortpixel.ai/client/to_auto,q_glossy,ret_img,w_351,h_234/https://www.sikke.in/wp-content/uploads/2021/05/buy-low-sell-high-trading-in-hindi.png)
Hamesha Ek baad dhyan rakhe.. “Buy Low Sell High” karna hai. agar rate pehle se high hai to thoda wait kare sahi point ka.
3. Exchange pa Pura Fund naa rakhe
Agar aap Crypto me trading karte hai to Exchange par sirf utna hi amount rakhe jisne ki aap trading kar rahe hai, or kabhi bhi apna pura amount exchange par nahi rakhe.
Agar aapne pura amount exchange par rakhe hai or wo agar hack ho jata hai to aap apne Cryptocurrency ko hamesha ke liye kho sakte hai. kyu ki agar aapke pass apne Crypto currency ki private ki nahi hogi to aap kuch nahi kar sakte.
Ye aapko pata hona chahiye ki Kisi bhi Crypto Currency ke malik aap sirf jab hoge jab uski Private ki aapke pass hogi, agar aapke pass Crypto Currency ki private ki nahi hai to aap uske abhi malik nahi hai..
Exchange par sirf utna amount rakhe jisse aap trading kar rahe hai, log time ke liye agar koi coin kharida hai to usko apne Hardware wallet me transfer karke rakhe..
Cryptocurrency ko sabse safe rakhne ka tarika hai Hardware Wallet jese Ledger Nano S
Aap Trading karte hai to uske liye bhi jo ache or secure Exchange hai sirf unka use kare.. Jese Binance Exchange. World ka sabse Best Exchange konsa hai uski detail me jankari aap yaha le sakte hai.
4. Don’t Buy New Listed Coin
Jab bhi koi Coin Exchange par Trading ke liye Add hota hai to usko turant naa kharide.. Jo Naye Log hote hai wo sochte hai jese hi exchange par coin aayega usko kharid lege or mehge me sell kar dege, par jitna ye aasan lagta hai utna hota nahi hai.
![11 Important: Cryptocurrency Trading Tips [in Hindi] 4 11 Important: Cryptocurrency Trading Tips [in Hindi] 3](https://sp-ao.shortpixel.ai/client/to_auto,q_glossy,ret_img,w_540,h_384/https://www.sikke.in/wp-content/uploads/2021/05/New-Coin-ko-List-hote-hi-Buy-naa-kare.png)
Jese hi Exchange par koi Coin list hota hai usko bhut log kharidne lagte hai jisse usko rate kuch hi minutes me 100x tak pahuch jata hai jo thode time me wapas niche aa jata hai..
To agar aap jese hi sell start hogi aap click kar bhi denge to bhi aapko coin jab tak milega rate bhut upar aa jayega or fir aap sell karne jayege utne me wapas niche aa jayega.. jisse Aapka Buy High or Sell Low hoga or aapko bahut bada nuksaan ho jayega..
5. Buy The Rumor Sell The News
![11 Important: Cryptocurrency Trading Tips [in Hindi] 5 11 Important: Cryptocurrency Trading Tips [in Hindi] 4](https://sp-ao.shortpixel.ai/client/to_auto,q_glossy,ret_img,w_761,h_342/https://www.sikke.in/wp-content/uploads/2021/05/Buy-the-rumor-sell-the-news.png)
Trading ki duniya me ye Line bahut popular hai, jisse jitne bhi Acche Traders hai wo isko Follow karte hai. Jab bhi market me koi News aati hai ki kisi Coin ka koi Update aane wala hai ya koi News aane wali hai to usse pehle hi usko kharid lete hai.. or jese hi Event aata hai uske thoda Pehle sell kar dete hai ya Apna Profit book karke baith jate hai.
Agar Aapko Thoda Time ho gaya hai Trading me to aapne dekha hi hoga.. ki Jab bhi koi Event aata hai to uske pehle se rate bhut teji se badne lagta hai or Event ke baad teji se niche girne lagta hai, Kyu ki jin logo ne pehle invest kiya hota hai wo apna Profit nikalna start kar dete hai.
6. Always Use Risk Management
Agar aap Trading karte hai ya aapne Crypto me Invest kiya hai to aapko pata hona chahiye ki isme risk bhi hai.. ye bhi ho sakta hai aapke paise achanak se kam ho jaye..
Jab bhi trading kare.. to apna kuch amount ko USDT or USDC jese stable coin me rakhe.. jisse agar achanak se market niche gir bhi jaye to aapka jada nuksan naa ho or jab rate kam ho to aap ache coin kharid kar apna nuksan cover kar sake.
![11 Important: Cryptocurrency Trading Tips [in Hindi] 6 11 Important: Cryptocurrency Trading Tips [in Hindi] 5](https://sp-ao.shortpixel.ai/client/to_auto,q_glossy,ret_img,w_504,h_388/https://www.sikke.in/wp-content/uploads/2021/05/Bitcoin-Trading-Risk-management-in-hindi-1.png)
Aapko Risk Management aese karna hai ki aapko apna Kuch Paise to jo Secure Coin hai jese Bitcoin, Etherium inme rakhna hai or Kuch jo New par ache coin hai unme rakhna hai. jisse kisi coin ka rate jada kam ho fir bhi aapko jada nuksan naa ho.
7. Sirf Ache Coin me Invest kare
Cryptocurrency ki baat kare market me 10000 jese jada Coins aaj ki tareekh me uplabdh hai.. Kisi bhi Coin ko lene se pehle thoda research kare ki wo coin kesa hai.
Coin acha hai ya nahi wo janne ke liye ye Kuch Point Check kare
- Cryptocurrency me Update aa rahe hai ke nahi
- Kitne Token market me hai kahi kuch hi wallets me to jada amount nahi hai
- Coin Project ke piche kesi Team hai
- Social Media par uss Coin ki Kya baat hoti hai.
- Real World kya use hai Coin ka, uske liye White Paper read kare.
Agar aapne ache coin me invest nahi karege or aese me agar market niche girta hai to jo ache coin hai wo double se recove kar jate hai par agar koi acha coin nahi hai or aapne lalach me aakar ke aapke paise 100x ho jayege ho sakta hai aapke paise dub jaye.
Accha coin hai to bhale wo kitna bhi niche chala jaye, upar aata hi hai.
8. Sideways Market Trading naa kare
Jab bhi Bitcoin ka rate kisi point par thoda ruke .. naa jada upar jaye naa jada niche jaye uss time Stop Loss jarur lagaye.. Kyu ki agar aapne aisa nahi kiya to ye bhi ho sakta hai market niche gir jaye.
![11 Important: Cryptocurrency Trading Tips [in Hindi] 7 11 Important: Cryptocurrency Trading Tips [in Hindi] 6](https://sp-ao.shortpixel.ai/client/to_auto,q_glossy,ret_img,w_578,h_363/https://www.sikke.in/wp-content/uploads/2021/05/sideways-market-trading-Tips-in-hindi-1.png)
Jab bhi market Sideways me aati hai to uske turant baad Rate bhut upar jada hai ya bhut niche.. to agar aese me Bitcoin ka rate agar niche jada hai to Altcoins bhi niche jate hai or iss nuksan se bachne ke liye Stop Loss laga kar rakhe pehle se.
9. Always Book Profit
Jab bhi Aapko thoda Profit profit ho jaye, apna Profit nikal le jada lalach naa kare ki paise abhi or double hoge. Jitne paise aapne lagaye hai utna Profit nikalne ke baad agar rate niche gir bhi gaya to aapko tension nahi hogi.
Jab bhi kisi coin me invest kare, apna Price target pehle se set karke rakhe, or jese hi Price aapke target tak pahuche aap apna Profit nikal kar apne Paise ko sae karle.
10. Don’t Put All Egg in One Basket
Don’t Put All Egg in one Basket ka matlab hai, ki apne sabhi aamdani ko ek hi jagah naa rakhe, usko aise manage karke rakhe ki kahi ek taraf se earning aana band ho bhi jaye to bhi dusri jagah se aati rahe.
Issi trha aapko Cryptocurrency ki trading karte time bhi iss baat ka dhyan rakhna hai, ki aap apna sara paisa ek hi Coin mein na lagaye, acche se research karke apne paise ko 5-10 coins me rakhe or trading kare. jisse agar kisi coin ki kimat kam hoti bhi hai fir bhi aapka jada nuksan naa ho.
11. Technical Analysis kare
Agar Aap Trading kar rahe hai to ye baat ko aapko mujhe batane ki jarurat padni nahi chahiye ki Jab bhi Aap Trading kare to uske Prive Graph ka Technical Analysis jarur kare.. or Jo Technical Indicators hote hai unka use karke fesla le ki aapko kis Price par Coin ko kharidna hai.
![11 Important: Cryptocurrency Trading Tips [in Hindi] 8 11 Important: Cryptocurrency Trading Tips [in Hindi] 7](https://sp-ao.shortpixel.ai/client/to_auto,q_glossy,ret_img,w_596,h_335/https://www.sikke.in/wp-content/uploads/2021/05/Trading-Technical-Analysis-in-hindi-1.png)
Technical Analysis ke liye aap TradingView ka use kar sakte hai..
At Last:
Ummid hai aapko mene jitni Bhi Tips batai hai aapko unse bhut kuch naya sikhne ko milega or aap apne Trading career me agar inme se koi bhi galti kar rahe hai to aage se nahi karege.. or Cryptocurrency ki in Trading Tips ko follow karke acha paisa kamaye..
Agar aapko Crypto Currency or Trading se related koi bhi Question hai to aap comment karke puch sakte hai.. or aapko ye jankari kesi lagi wo batana naa bhule..
Comments (No)