Agar aap Indian hai or Bitcoin Cryptocurrency me kaam karte hai to ye sabal aapke mind me jarur aata hoga ki India me Bitcoin Legal hai ya Illegal.. India Bitcoin ko Ban karegi ya nahi..
2 January 2018 ko parliament me Bitcoin ke upar kya baat hui or usme Indian Finance Minister Arun Jaitley ne kya kaha wo aapko janna bhut jaruri hai, taki aap khud se samaj paye ki Bitcoin ka India me aage kya hone wala hai, ya abhi kya hai.
Parliament me Kya baat hui or usme Arun Jaitley ji ne kya kaha:
*Bitcoin ke upar India Government kya kar rahi hai ?
Arun Jaitley: 2014 me hi Indian Government or RBI ne sabko warn kiya tha ki Bitcoin legal tender nahi hai, koi isme paise naa lagaye, or agar lagate hai to wo risk le rahe hai. Q ki Bitcoin par Government ka adhikar nahi hai or ham usko control nahi kar sakte to agar aapka kisi trha ka nuksan hota hai to ham usme aapki sahaita nahikar payege.
Abhi ek comity banai gai hai jo ispar kaam kar rahi hai, par abhi unka kya khena hai wo abhi baki hai, ussi ka intjar hai uske baad hi fesla liya jayega, India me Bitcoin ka kya kiya jaye.
*Jab tak Fesla nahi liya jata Bitcoin ka kya kiya jaye, jo Exchange hai inko band q nahi kar diya jata ?
Arun Jaitley: Bitcoin ko band karna itna aasan nahi hai, isko Internet ki madad se kahi bhi use kar sakte hai, log isko whatsapp par bhi use kar sakte hai.. to aese me kuch bhi fesla karne se phele koi bhi kadam uthana tikh nahi hai.
Baki Aap Puri Kya baat hui or kisne kya kaha wo aap Video me dekh sakte hai Hindi Me.
Abhi jitna kuch samne aaya hai, usse se saaf hai ki Indian Government koi bhi fesla lene se phele puri trha se usse kaise nipta jaye wo dekh rahi hai.
Abhi Sirf Indian Government ka ye khena hai koi isme paise naa lagaye q ki wo dub sakte hai or ham usme aapki koi help nahi kar payege.
In sab bato ka sarance ye nikalta hai ki India me abhi Bitcoin Na Legal hai or Na Illegal hai 😉
Also Read: Ministry of Finance Press Release me Bitcoin ke ware me kya kaha
Welcome to Sikke.In
inistry of Finance Press Release on Bitcoin in Hindi [29/12/2017]
welcome to sikke.in bitcoin blog.jpg
Welcome to Sikke.In
Agar India Me Bitcoin Illegal Ho Jayega To Approx 4 Lkh SEjyada Logo Ke Paise Dub Sakte Hai.
Isliye Bitcoin Illegal Hone Ka koi Chance Hi Nhi Hai.Aur agar illegL Hota bhi hai to logo ko time diya jayega.
BTW Informative Article Sir