Bitcoin Kya hai or wo kaise kaam karta hai or kya use hai uska wo aapko pata hi hoga, agar aap nahi jante to uski jankati aapko Sikke.in par hi mil jayegi.. Iss article me ham Popular or Trusted Bitcoin Exchanges ke ware me janege jaha se aap Bitcoin ko Kharid sakte hai or Bech sakte hai.
Jese aapne dekha hi hoga aesi NEWS bhi aaye din aati rheti hai uska itna Bitcoin hack ho yaha to uss Company se utna loot liya.. in sabhi farji sites ke chakkar me aap naa pade, uske liye ye list teyar ki hai, taki aap aasani se unpar account bana sake, or kisi Scam se bach sake.

Best Indian Bitcoin Exchange List
Ye jo list me share kar raha hu, ho sakta hai inme se kuch ke naam aapne phele se sune ho, ya kuch par aapke phele se account bhi ho.. par me aapko suggest karuga aap jitne bhi badiya exchange hai aap unsab par apna account bana kar rakhe, taki jab aapko Bitcoin kharidna ho to jaha sabse saste me Bitcoin mil raha ho aap waha se kharid sake.
#1: Zebpay – Buy/Sell Bitcoin Wallet
Zebpay india ka sabse Popular Bitcoin wallet hai, jiski madad se Bitcoin ko khada wa becha ja sakta hai, ye only App par work karta hai.
Agar aapne abhi tak Zebpay me account nahi banaya hai to aap niche di button par click karke App download kare fir account banaye.. to aapko ₹100 free bitcoin mil jayege.
Zebpay se Bitcoin kaise kharidte hai uski puri jankari yaha hai, agar aapko kuch bhi dikkat aa rahi hai to aap isko read kare.
#2: Unocoin – Buy/Sell Bitcoin Wallet
Unocoin bhi popular wallet hai India me Bitcoin Buy-Sell karne ke liye. iska App or Website dono hai jispar ham Bticoin ko kharid sakte hai.
Agar aapka ispar account nahi hai to aap Niche di link par click karke account banaye, jisse aapko ₹200 ka free bitcoin mil jayega.
#3: Coinsecure – Bitcoin Buy/Sell n trading Website
Ye bhi India ki popular website hai Bitcoin kharidne ke liye, Zebpay or Unocoin ki trha. Coinsecure unke liye best hai jo Bitcoin par trade karna chate hai or Bitcoin ki thodi jankari phele se hai.
Agar aap Bitcoin me New hai to aapko thoda samaj nahi aayega ispar kaam kaise karna hai, par account to bana hi lijiye.
#4: BuyUCoin – Buy, sell, trade, store Cryptocurrency in India
BuyUCoin bhi abhi thodi New hai, par agar aap bhut sari Cryptocurrency me invest karna chate hai to India me aapke liye ye best site hai.
Ispar aap Buy, Sell, Trade kar sakte hai 30+ Cryptocurrency par direct rupee se India me.
#5: LocalBitcoins – Trade Bitcoin in India
Ye Bitcoin Face to Face Trade karne ki sabse best website hai, iski madad se seller or buyer direct mil kar Bitcoin buy-sell kar sakte hai.
Ispar Online ke mukable saste rate par bhi Bitcoin mil sakta hai.
#6: Changelly – Cryptocurrency Exchange
Agar aap kisi bhi Cryptocurreny ko kharidna chate hai, ya exchange karna chate hai to Changelly Sabse Best Exchange hai jispar bhut hi kam charge par kisi bhi Cryptocurrency ko exchange kar sakte hai.
Changelly se Cryptocurrency Exchange kaise karte hai uski step by step process image ke sath share ki hai, aap usko dekh sakte hai.
Mene jitne bhi dusre Cryptocurrency Coin kharide hai, wo issi exchange ki madad se kharide hai.
#7: Koinex – Exchange and Treading
Koinex India ki website hai, jo sirf Bitcoin nahi uske aalawa Ripple, Litecoin or Bitcoin Cash bhi supprt karta hai, jaha se aap Treading bhi kar sakte hai.
#8: Coinbase – Top Bitcoin Wallet
Coinbase Sabse Popular Bitcoin wallet hai jo US base hai.. abhi India me ham ispar INR se Buy nahi kar sakte.. par kuch Time me ye India me aa sakta hai.
To agar aap ispar account banate hai to aapko $10(₹650) milege.
At Last:
Ab aapko pata chal chuka hai Bitcoin kaha se kharide India me, mene jo Aapko Best Cryptocurrency Indian Exchange ke ware me bataya hai inke aalawa agar koi dusra bhi badiya exchange aayega to unko bhi iss list me jarur add kiya jayega.. taki jo bhi Bitcoin kharidna chahte hai wo sahi website se kharid paye or koi dhoka hone se bache.
Agar aap Bitcoin me New hai or aap uske ware me janna chahte hai to Aap Sikke.in ko subscribe kar lijiye.. Facebook or Twitter par.. iske sath sath aap Fb Group bhi jarur join kare.
Agar aapka koi sawal hai, ya aapko kisi exchange me account banane me ya usko use karne me dikkat aa rahi hai to aap comment karke puch sakte hai. Me aap ke har ek sawal ka jawab jarur duga..
Iss Article ko apne Friends or Family ke sath bhi share kare, taki unko bhi iski sahi jankari mil sake.
Bhut achi jankari share ki hai aapne.. Par mera ek sabal hai kya hame in sabhi par account banana hai.. Or uska kya faida hai..
Haa aapko sabhi par account banana kar rakhna chaiye.. Usse aapko ye faida hai jab bhi aap Bitcoin kharidna chahe aap dekhe kispar sabse saste rate me mil raha hai or aap waha se kharid sake..
Bahut Badhiya Rohit Bhai..Meri Najar Toh Aaj Padi iss Blog par
Thanks Bhai.. wese abhi kisi ki najar me nahi tha.. abhi to google ne bhi najar nahi dali hai 😉
Sir trending kaise kare aur trending kya hai full explain me ek post kar dijiye
Bhai simple aap coin kharide. Or jab rate bade usko sell karte.. Iske liye aapko uska graph read karna sikhna padega.. Taki kab rate kam hoga kab badega uska thoda andaja ho sake.
Bitcoin maker se ham bitcoin kese kamaaye iske bare me post daliye
Free me Bitcoin earn karne ka rasta batao??