Bitcoin kya hai or ye kaise kaam karta hai, uske ware me to aapko pata hi hoga.. or agar aapko Bitcoin par thoda bhi trust hai to aap unko kharidna jarur chate hoge.
Bitcoin India me kharidna thoda sa muskil ho gaya hai RBI ke rules ke karan, Q ki RBI ke order ke karan jitne bhi exchange direct bank deposit se Bitcoin de rahe the Jese Zebpay, Unocoin.. ab wo band ho gaye hai.. Par iska matlab ye nahi ki Bitcoin ko Ban kar diya ya Bitcoin ko ab India me kharida nahi ja sakta.
Bitcoin Kaise Kharide India me, wo jaanne se pehle me aapko Bata du Bitcoin illegal nahi hai India me or naa isko Ban karna possible hai.
Bitcoin aap kisi bhi P2P Exchange se kharid sakte hai, Jisme hota ye hai aapko diye hue account me paise transfer karna hota hai, uske baad aapko utne bitcoin mil jata hai.
![Bitcoin kaise Kharide India me Direct [2021 Update] 2 Bitcoin kaise Kharide India me Direct [2021 Update] 1](https://sp-ao.shortpixel.ai/client/to_auto,q_glossy,ret_img,w_640,h_426/https://www.sikke.in/wp-content/uploads/2019/07/Bitcoin-kaise-kharide-India-me.jpg)
Bitcoin Buy karne ke liye Best Exchange 2019 in India
1: BitBNS
BitBNS December 2017 me start hua tha jo IIT se Graduates logo ne banaya hai jinko Bitcoin or Technology ka acha knowledge hai.
Inki Team ka Main Focus Security or Costomer support par hai starting se hi, or agar kisi ko thodi bhi problem aati hai to wo direct team se contact kar sakte hai.
BitBNS P2P model exchange hai, jisme aap direct INR jama karke Bitcoin or other Cypro Currency kharid sakte hai.
BitBNS me Paise jama karna bhut hi aasan hai, Simple aapko UPI se payment karni hai jo aap Paytm ya PhonePe se kar sakte hai.
BitBNS Exchange me Paise kaise Add kare wo janne ke liye aap Video dekh sakte hai.
2: LocalBitcoin
LocalBitcoin Peer to Peer Exchange hai, jisme Buyers or seller ek dusre se conntect karke apna Bitcoin Sell kar sakte hai.
localBitcoin ki jo sabse khas baat hai wo ye ki isme Payment ke lagbhag sabhi option hai.. jese PayTM, Bank Transfer, UPI etc.
isme agar aapko bitcoin Buy karna hai to jo bhi LocalBitcoin par sell kar rahe hai unke diye hue tarike se pehle aapko Paise transfer karna hai uske baad wo aapko Bitcoin transfer kar dege.
Note: Bitcoin sirf unhi se kharide jinki rating achi ho LocalBitcoin par, taki koi aapke sath scam naa kar paye.
![Bitcoin kaise Kharide India me Direct [2021 Update] 3 Bitcoin kaise Kharide India me Direct [2021 Update] 2](https://sp-ao.shortpixel.ai/client/to_auto,q_glossy,ret_img,w_1024,h_519/https://www.sikke.in/wp-content/uploads/2019/07/local-bitcoin-se-bitcoin-kaise-kharide-1024x519.png)
3: Wazirx
Wazirx ek or popular exchange hai India me jisme P2P exchange ki subhida bhi hai.
Isme aap Exchange par coin to change kar hi sakte hai uske aalawa aap Direct P2P sellbhi kar sakte hai.
WaZirx P2P kaise kaam karta hai wo samajne ke liye mageme dekhe.
![Bitcoin kaise Kharide India me Direct [2021 Update] 4 Bitcoin kaise Kharide India me Direct [2021 Update] 3](https://sp-ao.shortpixel.ai/client/to_auto,q_glossy,ret_img,w_706,h_400/https://www.sikke.in/wp-content/uploads/2019/07/Wazirx-P2P.png)
Example se samante hai, Wazirx me aap kaise Bitcoin Buy n Sell kar sakte hai.
Maan lijiye aapko $5000 ka Bitcoin Buy karna hai.. jiski kimat abhi ke hisab se Rupee me dekhe to ₹3,44Lakh hai.
- Sabse pehle aapko Wazirx me 5000 USDT kharidna hoga, uske liye aap P2P par jakar 5000USDT select karna hoga.
- uske baad aapko 3.44 lakh unko UPI ya IMPS se transfer karna hoga.
- Transfer karne ke baad seller payment ko verify karke aapke account me 5000 USDT transfer kar dega.
- Ab aap unn USDT ko Exchange me jakar Bitcoin ya other coin le sakte hai.
agar aapko Bitcoin sell karna hai to uska same ulta process hai.. aapko Bitcoin ko pehle USDT e convert karna hoga uske baad P2P me jakar usko sell karke Paise apne account me lene hoge..
*USDT ki value USD (Doller) ke equal hi hogi hamesa.
At Last:
Ab aap jaan chuke hai kaise Aap Bitcoin ko Buy n Sell kar sakte hai Ummid hai ab aapko koi pareshani nahi hogi Bitcoin ko kharidne me.
Agar aapka koi Doubt hai to aap Comment karke puch sakte hai, agli aane wali post me ham step by step janege kaise P2P Exchange ko use karke Bitcoin ko kharide or sell kare..
Note: Kabhi bhi apne Crypto Coins ko Exchange par naa rakhe, Q ki agar wo hack hua ya kuch bhi gadbad hui to aapka nuksan ho sakta hai. Hamesa Hardware Wallet me rakhe jese Ledger Nano S
Hello Sir, kya ham bitcoin ko exchange par hi rakhe wo secure hai ya hardware wallet me rakhna Tikh rahega.
Agar aap long time ke liye hold karke rakhna chate hai to hardware wallet me hi rakhe.
Ledger Nano S
Thanks for good information bahut hi achi jankari di h apne, isse mujhe kafi help mili h
Bahut Acchi jankari Hai or Helpful Bhi, THANKS For Shering Good Information with us