Bitcoin Kya hai in Hindi | BTC kya hota hai Full Detail

What is Bitcoin in Hindi | Bitcoin Kya hai

Aap soch rahe ho Bitcoin Kya hai, ya btc kya hota hai? to aap bilkul sahi jagah aaye hai, abhi me aapko bitcoin kya hai in hindi

Bitcoin ek Virtual, Digital currency hai jisko Cryptocurrency kaha jata hai, or ye puri trha decentralized hai. Matlab koi bhi Government ya Bank isko control nahi karti or na hi koi dusri company ya koi user isko control kar sakta hai.

Bitcoin ko dusri currency jese Rupee ₹, Dollar $, ki trha use kiya ja sakta hai, par yaha jo isko inse alag karti hai wo ye ki ye ek Digital Cryptocurrency hai, matlab ye sirf Internet par hai, isko ham hath me nahi le sakte jese dusre Notes ko le sakte hai.

Bitcoin ko BTC bhi kehte hai, jo ki Bitcoin ka hi short Name hai.

Bitcoin ko Duniya ke kisi bhi kone me ham transfer kar sakte hai, Internet ke jariye.

Agar aap New user hai to aap tension na le, Bitcoin kya hai wo aap bina kisi technical knowledge ke samajh jayenge, baki aapko Bitcoin or Cryptocurrency ki puri jankari Sikke.in par hi mil jayegi.

Bitcoin Kya hai

Bitcoin Kya hai ?

Bitcoin Dusri Currency (Paiso) ki trha hi hai, jese Rupee ki kimat ham Sona-Chadi se nirdharid karte hai ussi trha Bitcoin Mathematics se banta hai.

Puri Duniya ke log us software ko use karte hai jisse wo maths problem solve hoti hai or New Bitcoin bante hai. Jo Formula hai wo koi bhi dekh sakta hai jo free hai par usko solve karne ke liye high configuration computer ki jarurat padti hai.

Jese Government jo paise banate hai uski ek limit hoti hai usi tarah Bitcoin ki bhi ek limite hai, Total Bitcoin 21 Million hi banege, yani 2 crore 10 lakh Bitcoin banege ye fix hai.

Abhi Total 1.6 Crore Bitcoin mine (ban chuke hai) ho chuke hai or jese jese or bitcoin mine hote jayenge wese wese isko mine karna or jada muskil hota jayega.. Pure Bitcoin ko mine hone me 100 Years lagege.

Bitcoin ke jariye duniya ke kisi bhi kone me ham Paise bhej sakte hai or receive kar sakte hai, jiska charge bhi na ke barabar hai.

Jab Bitcoin kisi address par sent kiya jata hai to usko wapas nahi laya ja sakta, jab tak samne wala khud sent naa kare..

Transition hota hai wo Peer-to-peer hota hai, matlab bich me koi Bank, Credit Card jesi koi company nahi hoti to unka jo charge hai wo bhi bach jata hai.

Jo bhi Paise ka len-den hota hai wo koi company nahi karti, jo log duniya bhar me apne computer me Bitcoin ki maths equation ko solve kar rahe hai uske software se wo uski entry karte hai, jisse unko kuch bitcoin ke commission milta hai. Jo ye sab Transition ko conform karte hai unko Minner Kaha jata hai.

Bhut se Deso me Bitcoin se ham kuch bhi kharid sakte hai, par India me abhi ham Bitcoin se direct nahi kharid sakte, par aise bahut se Exchange hai jin ki madad se ham Bitcoin kharid sakte hai Rupee dekar, ya Bitcoin ko Sell karke Rupee le sakte hai. Indian ke Best Bitcoin Exchange ki list yaha hai, jaha se aap bitcoin ko kharid sakte hai.

Bitcoin Kisne Banaya uska Naam

Ek Software Developer jinka Naam hai Satoshi Nakamoto, unhone ek software banaya jiski madad se Bitcoin bante (Mine) hote hai. Bitcoin ko banane ka maqsad tha ek aesi currency banayi jaye jisko Internet ke jariye use kiya jaye, jis par kisi ka control na ho, jo fast or secure ho or jisme transaction fees bhut kam ho.

Asliyat me Satoshi Nakamoto kon hai ye koi nahi jante, or jo ye Bitcoin ki jankari hai wo ek Email ke jariye mili thi.

1 Bitcoin ke 100,000,000 Satoshi hote hai jese 1₹ me 100 paise hote hai.

Bitcoin Kaam kaise karta hai

Bitcoin ka use karne ke liye sabse pehle Bitcoin Wallet Install karna padta hai, wo Mobile Wallet, Computer Wallet, Online Wallet, Paper Wallet ya Hardware wallet ho sakta hai, jese hi wallet banta hai uski ek Private Key hoti hai or ussi private key se connected Public key bhi hame milti hai.

Kisi se bhi agar bitcoin lena hota hai to jo Public key hame milti hai wallet me wo ham unko dete hai, fir wo uspar bitcoin sent kart hai to wo hamare wallet me aa jate hai.

*Private Key kisi se bhi share ki nahi jati, q ki jiske pass wo private key hoti hai wo usme jitne bhi bitcoin hai unko access kar sakta hai.. or jo Public key hoti hai wo ham jisse payment lena chahte hai usko de sakte hai.

Bitcoin ke Best Secure Wallet konse hai uski jankari yaha hai.

Bitcoin Transaction Conform kaise hota hai

Kisi bhi address par jab bitcoin sent kiya jata hai to usko conform Minner karte hai,  jo apne computer me Bitcoin ka software chala rahe hai Bitcoin ki equation solve karne ke liye jisse transaction conform hota hai, jab wo kisi equation ko solve karke transaction ko conform karte hai to unko uska commission milta hai kuch bitcoin ke rup me.

transaction Conform hua ke nahi ya Kisi bhi address par kitne bitcoin sent hue hai wo koi bhi BlockChain par check kar sakte hai, par wo kis wallet me hai ya wo kiska account hai wo koi nahi bata skate.

Example: https://blockchain.info/address/1BoatSLRHtKNngkdXEeobR76b53LETtpyT

Bitcoin ka Kya rate hai

Bitcoin ka jo rate hai wo Demand n Supply par depend karta hai, Matlab agar isko jada log kharidege to iska jo price hai wo badte jayega or agar sabhi log isko sell karne lagege to market me bahut jada BTC aa jayege jisse Price kam ho jayega.

Agar aapko janna hai Bitcoin ka kya rate hai aaj ka to aap yaha dekh sakte hai.

Bitcoin Kya hai Hindi Me Janne ke liye Video jarur dekhe

At Last:

Bitcoin Kya hai ab aap samaj gaye hoge, ye ek decentralized Cryptocurrency hai. jispar kisi ka control nahi hai or jo Internet par kaam karti hai. Bitcoin ko send or receive karne karne ke liye uske wallet hote hai or jo transaction hote hai wo koi bhi blockchain par dekh sakte hai. Jo Transaction ko conform karte hai unko minner kehte hai, or uss process ko mining kehte hai jisme naye bitcoin bante hai.

Hope aapko Sikke.in par Bitcoin kya chiz hai or Bitcoin ka rate kya hai or ye kaise kaam karta hai uski jankari to mil gai hogi, aage ham har ek topic ke ware me detail me bhi jaane kaise sab chije kaam karti hai, kaise ham bitcoin mining karke paise kama sakte hai.

Agar aapka koi sawal hai Bitcoin se sambandhit to aap comment karke puch sakte hai, me aapki puri help karne ki kosis karuga.

Comments (5)

  1. Thesmartricks
  2. saeed ullah
  3. amjad khan

Leave a Reply