Bitcoin ko Ethereum, DASH ya Kisi Bhi Cryptocurrency me kaise Convert kare

Bitcoin jo sabse popular Cryptocurrency hai, jisme investment karna experts ke hisab se sahi hai, or agar aap India me Bitcoin kharidna chate hai to uske bhut se aasan tarike aa chuke hai jaha se aap direct Bitcoin ko kharid sakte hai Rupee jama karke.

Bitcoin Cryptocurrency Marketcap me 1st par hai, par issi trha ki market me 1500+ cryptocurrency aa chuki hai, Unme se kuch bhut popular bhi ho rahi hai to unme bhi investment karna faide ka shoda ho sakta hai.. To agar aap Bitcoin ke aalawa dusri koi bhi Altcoin kharidna chate hai to uski jankari me aapse abhi share karne wala hu.

Agar aapne abhi tak Bitcoin nahi kharide hai or aapko janna ho kaise kharide hai to uski jankari aapko in article me mil jayegi.

Agar aapne Bitcoin kharid rakhe hai to chaliye dekh lete hai kaise Bitcoin ko kisi dusri Cryptocurrency me convert karte hai.

Bitcoin ko Dusri Cryptocurrency Me Convert kaise kare

Bitcoin ko Dusri Cryptocurrency Me Convert kaise kare | Bitcoin to Altcoin

Agar aapne bitcoin kharid rakha hai or aap usse Ethererum, Ripple, Zcash, DASH ya dusra koi bhi Altcoin kharidna chate hai to uske liye aapko kisi badiya Exchange ki jarurat padegi..

Aap jo bhi Cryptocurrency kharidna chahe hai, sabki same hi process hai… Me aapko demo ke liye DASH Coin kharid kar bata rha hu.

Chaliye dekh lete hai step by step Kaise Bitcoin ko Kisi bhi Coin me Convert karte hai:

Step 1: Sabse Phele aapko Changelly website par jakar apna account banana hoga.

Account bana kar usko Email se Verify karke complete kare.

Step 2: Ab aapko Bitcoin se Dusre Coin me convert karna hai, yaha me example ke liye Dash coin le raha hu.

bitcoin se dusre coin kaise kharide uski jankari

Jese ki aap upar image me dekh sakte hai, 1st box me BTC me amount dala to 2nd wale box me uske kitne DASH coin aayege wo bata raha hai..

Jitna bhi amount ka coin exchange karna hai wo select kar lijiye, or agar aap Dash Coin ki jagha koi dusra Coin jese Etherium, Ripple kharidna chahe to wo select kar sakte hai..

Amount Enter karke Exchange ki button par click kare..

Step 3: Kitne Bitcoin me Kitne Dash coin mil rahe hai wo check karle, or uski kitni fees lagegi wo bhi check karke Next ki button par click kare.

Crypto currency rate check kare

Step 4: Ab aapko apne Dash Wallet ka receiving address dalna hai, jispar aap chate hai ki wo dash coin aap receive kare..

changelly me DASH Address dale

Me Dash Coin ke liye apna Ledger Nano S Hardware wallet hi use kar raha hu, aap jo bhi wallet use kar rahe hai uska receiving address yaha Box me dale.

DASH Wallet address copy kare

aap upar ki image me dekh sakte hai, receiving address hai usko copy karke dalna hai.

Step 5: Ab Next Page open hoga, usme aap kitne Bitcoin me Kitne Dash Coin kharid rahe hai wo detail achi se check karle, or aapke Dash Coin kaha send kiye jayege wo bhi match karke apne Dash Wallet ke receiving address se., fir Conform and Make Payment ki button par click kare.

exchange ki detail check karke conform kare

Step 6: Ab aapke samne Bitcoin ka ek Receiving Address aayega, jispar aapko Bitcoin sent karna hai..

bitcoin address par bitcoin send kare

Note: bitcoin ko address par sent karne ke liye, address ko type karke naa dale, hamesa address ko copy karke ya QR Code scan karke hi sent kare.

Step 7: Ab apna Zebpay/Unocoin App Open kare, usne Sent Bitcoin ke option par jaye..

zebpay se bitcoin send kare

  1. Bitcoin ke coin par click kare
  2. QR Code ko Camera par click karke scan kare.
  3. kitne Bitcoin Sent karna hai wo Enter kare.
  4. Zebpay PIN dale…
  5. Bitcoin Sent 😉

*Agar aap Bitcoin ka koi dusra wallet use karte hai to uski bhi same hi process hogi bitcoin sent karne ke liye..

Step 8: Ab jo aapka kaam tha wo pura ho chuka hai, par ab kuch process hogi, jisme thoda time lagta hai.. puri process hone ke baad aapko Dash Coin aapke Wallet me Mil jayege.

Bitcoin to DASH exchange process

Jesa ki aap upar ki image me dekh sakte hai, jab ham Bitcoin sent kar dete hai to uski Process start ho jati hai..

  1. Sabse phele to ham jo Bitcoin sent karte hai wo BlockChain par conform hota hai.
  2. Conform hone ke baad Changelly me Convert hota hai jo Dusra Coin hamne kharida hai usme.
  3. Dash coin convert hone ke baad hamare Dash Address par Dash coin sent kar diya jayega.

Itni Puri process ko complete hone me 1-2 hours bhi lag sakte hai, mene jab kiya tha to 15 minute me pura ho gaya tha.. par yaha aap jada tension naa le or thoda wait kare puri process ko complete hone de.. 🙂

Jab Process complete ho jayegi, to aapke samne aesa conformation message aa jayega.

Bitcoin to DASH exchange successful

ab aap apne Dash Wallet me bhi check kar sakte hai, aapke jo Dash coin hai wo usme add ho gaye hoge..

To iss Trha aap badi aasani se kisi bhi CrytoCurrency Altcoin ko kharid sakte hai India me, or isko sell bhi kar sakte hai..

*India me Direct Rupee se Altocoin kharine ke liye ye badiya website hai, jo Bitcoin ke aalawa bhi dusre coin support karti hai.. aap inse bhi kharid sakte hai.. par agar aap turant koi bhi Altcoin lena hai to uske liye Changelly sabse best hai.

  1. Koinex
  2. buyucoin

India ke liye Best Exchange konse hai uski list mene share ki hai, aap un sabhi par account bana kar rakhe, taki jab bhi aapko koi Crypto Coin kharidna ho aap sabse kam daam me kharid sake.

At Last:

To ab me ummid karta hu aap jaan chuke hai kaise India me Bitcoin se Altcoin ko kharid sakte hai, agar aapka isse sambandit koi bhi sabal hai to aap Comment karke jarur puche, me aapka jabab jarur duga.

*Agar aap soch rahe hai India me Ripple Coin kaise Kharide, to uski puri jankari aapko Sikke.in par hi mil jayegi.. 😉

Comments (2)

  1. vaibhav

Leave a Reply