Aapne Bitcoin ke war me suna to bhut hoga par agar aap nahi jante Bitcoin se paise kaise kamaye to aap bilkul sahi site par aaye hai. Sikke.in par Bitcoin or Other Cryptocurrency ke ware me sabhi jankari share ki jati hai Hindi me.
Bitcoin Kya Hai ?
Bitcoin kya hai sabse phela sabal ye aata hai, Bitcoin ek digital currency hai, jise aap mahesus ya dekh nahi sakte lekin aap ise store kar sakte hai.
Bitcoin ko 2008 me Satoshi Nakamoto ne banaya tha. us time uski value hamare Indian 1 rupee se bhi kam thi lekin aaj 1 bitcoin ki kimat 12 Lakh ko paar kar chuki hai.
aap Bitcoin ki kimat kis prakar badi hai wo aap Bitcoin Price Chart me dekh sakte hai.
jaise ₹1 rupee ke 100 paise hote hai vaise hi 1 bitcoin me 100,000,000 satoshi hote hai. Bitcoin banane wale ka Satoshi Nakamoto hai isliye Bitcoin ke part ko Satoshi kaha jata hai.
Bitcoin Open Source hai jis par koi company ya Organization ka control nahi hai.
Bitcoin kharidke aap use bechke kafi acche paise kama sakte hai. Bitcoin ke Value me utar-chadhav aata raheta hai, or ye uski demand or supply ke karan hota hai, q ki total 2.1 crore total bitcoin banne hai or kharidne wale bhut hai.
Bitcoin bilkul Share Market ki tarah hi hai, jiski agar demand badhti hai to uska rate badte jata hai.
Bitcoin Se Paise Kaise Kamaye in Hindi
Agar aapko bitcoin se paise kamane hai to iske kai tarike hai, jisme se me abhi aapko 2 simple tarike bata raha hu, aage har har tarike jisse Btcoin me paise kamaye ja sake unke ware me baat karege.
#1 Bitcoin Buy n Sell Karke Paise kamaye :
Agar aapke pass paise hai to aap isse Bitcoin kharid sakte hai. Bitcoin ka Value badlta raheta hai. to jab iska value(kimat) badh jaye to aap ise bech kar kafi acche paise kama sakte hai.
abhi Bitcoin ki kimat 12 lakh ke aaspas hai to jaruri nahi aap pura ek bitcoin hi kharide, Bitcoin minimum ₹1000 ka bhi kharid sakte hai zebpay se.
Bitcoin kharid kar paise kamane ke 2 tarike hai:
- Bitcoin ki treading karke Paise kamaye.
- Bitcoin kharid kar usko lambe time tak HODL karke rakhe, fir bech de.
Bitcoin kaise kharidte hai uski jankari aapko Sikke.in par hi mil jayegi, or konse konse Exchange Best hai India me me Bitcoin kharidne ke liye uski list yaha hai.
#2 Bitcoin Mining karke Paise Kamaye
Bitcoin ko jab ek jagha se dusri jagha send kiya jata hai to wo transaction sahi hua ke nahi usko check karne ke liye uska software hota hai, jisme Bitcoin ki jo transaction ki jankari ek Math formule me hoti hai.. To jo log bhi uss equation ko solve karke transaction ko conform karte hai to unko uska commission milta hai.
Ye jo Puri Process hai jisme Bitcoin send hua ke nahi usko conform kiya jata hai usko Mining khete hai, or jo log iss kaam ko karte hai unko Minner khete hai.
Aane wale dino me Sikke.in par hi ham janege Bitcoin Mining kaise karte hai, or kya uski process hai.. to aapne agar abhi tak hamara facebook page like nahi kiya hai to kar lijiye, taki aapko uski jankari milti rahe. 😉
At Last:
Ab aap jaan chuke hai Bitcoin se Paise kaise kamate hai or Bitcoin se Paise kamane ke liye kya karna hai, fir bhi agar aapka koi sabal ho to aap comment karke puch sakte hai.
Bitcoin kharide ya nahi, ya usme kitne paise lagaye wo aapke upar hai, par me sirf itna khena chahuga paise sirf utne lagaye ki agar wo dub bhi jaye to aapko jada aasar naa pade.
bahut achha article hai bhaijaan.