Bitcoin jiska naam aaj har ek saks ki juban par hai, koi Bitcoin investment karke paise kama rahe hai to koi karne ka soch rahe hai, kher aap un kisi me se bhi ho, par aapko aaj me jo jankari share kar raha hu wo pata hona chaiye.
Jese koi bhi field ho, usse sambandit bhut se aese words hote hai jo bhut logo ko samaj nahi aata ki inka matlab kya hai, tikh ussi trha Bitcoin me bhi kuch Words hai, jinka kya matlab hai wo aapko pata hona chaiye.
Aaj Sikke.in par ham unhi sabdo ke ware me janege jo Bitcoin Cryptocurrency me use kiy jate hai.
Table of contents
- Address
- BTC
- Satoshi
- Block
- Block Chain
- Conformation
- Cryptography
- Double Spend
- Hash Rate
- Mining
- P2P
- Private Key
- Signature
- Wallet
- Block Height
- Difficulty
- Change
- Halving
Bitcoin me Use hone wale Words ki Jankari
Bitcoin Kya hai or Bitcoin kaise kharidte hai wo to aap jante hoge, chaliye ab usme use hone wale Bitcoin Words ke ware me bhi jaan lete hai.
1: “Bitcoin Address” kya hota hai
Bitcoin ka Address bilkul hamare ghar ke pate ki trha hai, ya kahe ek Email ki trha hai. jese ham kisi ko email karte hai to hame unke Email Address par send karna hota hai, same wese hi Bitcoin me agar heme kisi ko bitcoin send karna hota hai to ham unke address par send karte hai. Bitcoin Address har ek Wallet ka alag alag hota hai.
2: “BTC” ka Kya Matlab hai
BTC Bitcoin ka hi short code hai jisko Bitcoin ko denote karne ke liye hi use kiya jata hai.
3: “Satoshi” Kya Hai
Jese Rupee me 100 Paise hote hai, tikh ussi trha ek bitcoin me 100,000,000 Satoshi hote hai, matlab ek bitcoin ko ham itne part me baat sakte hai.
4: “Block” Kya hota hai Bitcoin me
Jitne bhi Transction hote hai Bitcoin me uska record Blockchain me save hota hai Block me, average 10 minute me ek naya block banta hai, jisse agar koi bitcoin ko double spend karne ki kosis kare to wo impossible hai.
5: “Block Chain” Kya hai
ye ek Chain hoti hai bhut sare Blocks ki jinme bitcoin transaction ki jankari hoti hai, Block Chain ko jitne bhi user hai wo dekh sakte hai ki kisne kisko kitne bitcoin send kiye hai. Ye publicly hai to iske karan jo ek problem hai double spend ki wo bhi nahi hoti.
6: “Conformation” kya hota hai Bitcoin me
Conformation ka matlab hai, agar koi transaction hota hai to uski jankari pure Bitcoin network me share ki jati hai, ye jo process hai isme jab koi Bitcoin send kiya jata hai to Computer power ki madad se jisko mining khete hai ye conform kiya jata hai ki wo bitcoin ek address se dusre address par send ho chuke hai. jitne jada ammount send kare utne jada conformation lena safe hota hai, jo koi bhi BlockChain.info par dekh sakte hai.
7: “Cryptography” Kya hai
Cryptography ek branch hai Mathematics ki jisme ek Maths formula ke jariye bhut hi jatil code banta hai jiske karan security bhut hi jada badh jati hai, to iske karan jiska jo account hai wahi usko use kar sakte hai koi dusra usko gase kar hi nahi sakta.
8: Bitcoin me “Double Spend” kya hai
kuch log kisi ko dhoka dene ke liye aese tarike ka use karte hai, wo ek hi time par same amount 2 address par send kart hai, par wo send ek hi me hota hai jisko minning ke jariye conform kiya jata hai. to Jab bhi aap kisi se bitcoin le kam se kam 3 conformation tak wait kare.
*Bitcoin ka use karte hai to Bitcoin security ke ware me jarur read kare.
9: “Hash Rate” kya hota hai
Hash rate Bitcoin network ki power ko napne ki unit hai. Bitcoin network me security ke liye maths operation hote hai. Agar Ntework ki Hash power 10 Th/s phuch jaye matlab 10 trillion calculation ho rahe hai per second.
10: “Mining” kya hoti hai
Bitcoin mining ek process hai jisme computer hardware ka use karke Maths problems ko solve kiya jata hai Bitcoin network ke transction conform karne ke liye or security badane ke liye. jo bhi Mining karke transction conform karte hai unko kich bitcoin transction fees ke rup mil milte hai, jo naye Bitcoin hi hote hai.
Mining me jitne jada calculation karke transction karte hai utne jada hi mining me earning hoti hai.
11: “P2P” ka kya matlab hai
Peer-to-Peer ko P2P bhi khete hai uska matlab hota hai kisi bhi chij ka len den karne ke liye bich me koi Organization ya government nahi hoti.. jo bhi len den hai Bitcoin ka wo direct 2 user ke bich me hota hai.
Bitcoin me jab bhi koi Bitcoin send karta hai to ek trha se wo pure Bitcoin network ko kheta hai ki unse itne bitoin iss address par send kiye hai, fir wo duniya bhar ke log jo mining kar rahe hai wo conform karte hai jisse unko bhi uska commission milta hai, or iss trha koi kisi ko dhoka nahi de sakte..
12: “Private Key” kya hoti hai Bitcoin me
Private ki ek secret code hota hai, jo har ek wallet ka alag alag hota hai. Bitcoin send karne ke liye Wallet or Private key ko conform kiya jata hai maths problem splve karke jab hi bitcoin send hote hai, to iske karan ye bilkul nahi ho sakta ki koi dusra kisi ke bitcoin kahi send karte.
13: Bitcoin “Signature” kya hota hai
A Cryptographic signature ek maths se bana signature hota hai, jisse ye proof hota hai ki jo bitcoin send kar raha hai wo ussi ka wallet hai. Jab Transaction hota hai to Bitcoin ka pura network wo signature ko sekh sakte hai par uski private key wo pata nahi kar sakte, isliye kisi koi aapke bitcoin nahi chuka sakte.
14: Bitcoin “Wallet” kya hota hai
jo hamare Real Wallet (pars) hote hai ussi trha Bitcoin ka wallet hota hai, jisme hamare Bitcoin ki Private ki hoti hai, or hamari private ki me hi wo jankari hoti hai ki hamare wallet me kitne bitcoin hai. Wallet ki maad se ham kisi ko bhi bitcoin send kar sakte hai, ya receiving address dekar Bitcoin le bhi sakte hai.
*Bitcoin Secure Wallet konse hai unki list Sikke.in par hi share ki hai aap unhi me se kisi secure wallet ka use kare.
15: “Block Height” kishe khete hai
Block Height kuch nahi wass ek bumber hai ki Block chaain me ye Block konse number ka hai. 0 Height block jo sabse phela block hai usko “Genesis Block” bhi khete hai.
16: “Difficulty” kya hai Bitcoin me
Difficulty Bitcoin mining se related hai, jisme jese jese New Bitcoin bante jate hai jo Difficulty hai wo badti jati hai. Jisme hota ya hai 10 minute me jitne bitcoin mine ho rahe the usse kam hote hai.
17: “Change” kisko khente hai
jese agar aapne kahi se khuch kharida ₹90 ka or agar aapne ₹100 diye to wo aapko ₹10 wapas kar dege, jisko change khete hai, same wahi process bitcoin me bhi hoti hai. jisme jitne bitcoin send karna hai utne send karke baki ke wapas kar diye jate hai.
18: “Halving” ka kya matlab hai
Bitcoin ki jo total supply hai wo fix hai 21 million (2.1 crore). jo Block Chain me Bitcoin bante hai wo har 4 saal me 50% ham ho jata hai isko “Halving” khete hai. Jo sabse Last Halving hai jo 2140 me hogi.
At Last:
To ye rahe Bitcoin Cryptocurrency me use hone wale words or uske matlab,.. ummid hai aapko ye jankari pasand aai hogi, fir bhi agar kisi sabd ka matlab agar aapko samaj nahi aaya ho to aap comment karke puch sakte hai.
Ye jankari kesi lagi wo batana naa bhule, or agar me Sikke.in ki is Bitcoin Words list me koi word add karna bhul gaya hou to wo bhi jarur bataye.
Comments (No)