Crypto India me Hua Legal or Lagega 30% Tax

India me bade lambe time se ye confusion tha ki Indian Government Crypto ke upar kya rule lati hai, Kuch logo ko dar tha ki Ban ho gaya to hamare paise dubh jayege to kuch logo ko ye confusion tha ki ye Illegal me aata hai.

Jis News ka Puri Crypto community bade time se intjar ar rahi thi, wo time aa hi gaya, Budget 2022-23 me cryptocurrency bill ko bhi add kiya gaya, jisme

Crypto India me Hua Legal or Lagega 30% Tax 1

union finance minister, Nirmala Sitharaman ne bataya ki Virtual Digital assets se ho rahi income par 30% ka tex lagaya jayega.

Abhi Tax kitna lag raha ya wo kis trha calculate hoga, wo detail me samanne se pehle se to samaj aa gaya ki ab India me Crypto ko Ban nahi kiya jayega balke iske upar tax laga kar usko regulate kiya jayega.

Nirmala Sitharaman ne kaha: “Tax Deducted at the source for payments of virtual assets will be at 1 per cent. Gifting of virtual assets also to be taxed”

Matlab jitne bhi Virtual assets me transfer hoge unpar 1% tax lagega or agar kisi ko koi Virtual assets gift karta hai to us paar bhi tax lagu hoga.

Abhi ye jo Crypto Bill hai wo Trial me hai, isme abhi kuch badlab bhi hoge or isko update bhi kiya jayega..

Jo Main Point inn Crypto Bill me hai wo ye rahe:

  • Kisi bhi Digital Assets se hui income ke transfer karne par 30% tax lagega.
  • Tax ke liye koi bhi expenditure kam nahi kiye jayenge, jese dusre business me hota hai. Jisme Business kharch bata kar tax kam ho jata hai.
  • Crypto me koi bhi loss hota hai to uski koi bharpai nahi ki jayegi.
  • Agar Ek Crypto se dusre crypto me transfer karte hai to uspar 1% tax lagega.

Issi ke sath sath unhone ye bhi announce kiya ki India apni central bank digital currency or CBDCs currency bhi layegi jo Blockchain technology par hogi, jiska kaam Reserve Bank of India ke under hoga.

Canclusion:

India ka BLockchain or Cryptocurrency ke taraf ke bahut hi bada or acha kadam uthaya hai, orisse ye clear hota hai ki India me ab Crypto par Ban nahi lagaya jayega.

To ab aap batao aap ke kya vichar hai or aapne abhi tak koi crypto me investment kiya hai ke nahi.. agar nahi to Bitcoin aap WazirX se badi aasanis e kharid sakte hai.

Note: Jo Tax lagne wala hai wo fix nahi hai ki hame dena hi hai, isme abhi kuch updates bhi hoge.

Crypto par kabse dena hoga Tex

Abhi jo Crypto par Bill aaya hai agar wo regulate hota hai, to 2022-2023 me lagu hoga.. uske baad hame TAX pay karna hoga.

Kya Crypto India me Legal hai?

Indian Government ne Officially ye nahi kaha hai ki aap Crypto ko Legal tarike se use kar sakte hai, par iska matlab ye bhi nahi hai ki isko use karna illegal hai. or agar Gov Crypto se ho rahi kamai par TAX lagane wali hai isko matlab wo isko illegal nahi manti.

Crypto par kya sabhi ko 30% Tax dena hoga?

Yes, Agar aap kisi bhi tarah se Crypto me earn karte hai, to aapko uska tax pay karna hoga.

To ummid hai aapko ab clear ho gaya hoga, ki Indian Government apni khud ki currency to la hi rahi hai jo ki ek achi khabar hai Crypto community ke liye. aapke kya vichar hai aap comment me jarur share kare.

Comments (No)

Leave a Reply