Ministry of Finance Press Release on Bitcoin in Hindi [29/12/2017]

Hello Every one, Sikke.in me aapka ek war fir se swagat hai Ministry of Finance ki Press release ke sath, jisme unhone kya kaha hai wo Hindi me bataya jayega.

Jesa ki aapko pata hi hoga, Abhi India me Bitcoin naa Legal hai naa illegal hai, to aese me hamare liye ye janna bhut jaruri hai ki Indian Government ka abhi kya khena hai Bitcoin Virtual currencies ke ware me.

Mene Pichli Post me Bataya tha Video ke sath ki Arun Jaitley Ne Kya Kaha Parliament Me Bitcoin ke ware me, aap usko bhi jarur dekhe..

Chaliye ab aate hai Main News par, ki Ministry of Finance se kya kaha hai Virtual ‘Currencies’ ke ware me.. aap ye Press Information Bureau Government of India ki official site par bhi read kar sakte hai.

Ministry of Finance Press Release on Bitcoin in Hindi

Ministry of Finance Press Release on Virtual “Currencies” in Hindi

Abhi Pichle kuch dino me Virtual Currencies (VCs) ke rate bhut teji se bade hai, Bitcoin ko mila ke, India or puri duniya me. VCs ki koi asli value nahi hai or ham iska kisi bhi trha se support nahi karte hai. Bitcoin or dusri VCs ki kimat me itna utar chadan aane ka karan hai unpar kisi ka control naa hona.

Isme Paise lagana sabse bada risk hai, jo ki ek Ponzi Schemes ki trha lagta hai, jo kabhi bhi khatam ho sakti hai, jisse hoga ye jitne bhi logo ne apni mhenat ke paise isme lagaye hai wo dub sakte hai.

Ham sabko agha karte hai ki aesi chijo se bachkar rahe, q ki VCs ko digital/Elecronic tarike se rakha jata hai, jisme Hacking, Password ka bhul jana, ya koi virus attack jesi chije ho sakti hai.. jiska parinam ye hoga ki aapke wo paise hamesa ke liye aap kho dege.

VCs me jo transaction hota hai wo encrypted hote hai, jiske karan illegal/galat kamo me iska use ho sakta hai jese terror-funding, smuggling, Drug ke lenden me ya Money loundering me.. jo puri trha se ger kanuni hai.

VCs par government ka koi adhikar nahi hai, or ye hamare kanun me bhi nahi aati, isliye ham iskn currencies hi nahi mante.

VCs ko coin ki trha bhi dekha jata hai, par jisko hath me nahi liya ja sakta wo coin bhi kaise ho sakta hai.

Government or Reserve Bank of India ne kisi bhi exchange ko koi bhi adhikar ya permission nahi di hai. naa koi licence diya hai aese kaam karne ke liye. jo bhi log isme kaam kar rahe hai wo iss baat ka dhiyan rakhe isme bhut hi jada risk hai.

jinhone VCs ko kharid kar rakha hai, ya trading karte hai unko ham phele hi 3 war warn kar chuke hai December, 2013, February, 2017 and December, 2017 me Reserve Bank of India ke duaara ki isme bhut risk hai or isme aapka nuksan ho sakta hai.

RBI ne bhi saaf kaha hai ki unhone koi Licence / Adhikar nahi diya hai kisi bhi company ko aesi koi bhi schemes ko chalane ke liye jo Bitcoin ya dusri kisi bhi VCs me kaam karti hai. Government ne ye bhi saaf kiya hai ki wo Legal tender nahi hai to VCs me aapke sath kuch bhi hota hai to ham uske aapki koi help nahi kar payege.

Jo bhi VCs me kaam karte hai wo bhut bada risk le rahe hai or ham unko yahi kahege ki wo isko ignore kare.

Author Note: 

Jo upar aapne read kiya usse aapko ye clear ho gaya hoga ki Indian government ne saaf kaha hai ki unka ispar koi adhikar nahi hai or naa unhone isko allow kiya hai, agar koi isme kaam karta hai to wo khud ke risk par kare, q ki kuch bhi galat hone par wo unki koi madad nahi kar payege.. or jab unhone isko allow hi nahi kiya hai to wo VCs ko currency hi nahi mante.

Bitcoin ya dusri koi bhi VCs dekha jaye to jo bate government ne kahi hai wo sahi hai, q ki inpar kisi ka adhikar nahi hai to wo isme kuch kar bhi nahi sakt.. to aese me jinko iski sahi jankari nahi hai unke liye risk badh jata hai ki kahi wo kuch galti karke apne paise naa gava de.

Sikke.in par mene bataya hai, Bitcoin Kya hai,  kaise Bitcoin ki security badaye or uske liye hame kya kya dhiyan me rakhna hai, agar aap Bitcoin ya VCs me kaam karte hai to usko jarur read kare.. iske sath sath mene Secure Bitcoin wallet ki list bhi share ki hai aap unhi wallet ka use kare Bitcoin ko secure rakhne ke liye.

Me to aapko yahi suggest karuga, kisi ke bhi khene me aake kuch bhi naa kare, khud se phele usko samje fir usme kaam kare.. or agar aap Bitcoin ya iski technology me interested hai to Sikke.in site uske liye best hai q ki yaha me un sabhi topic ke ware share karta hu hindi me.

*Aapke kya vichar hai Bitcoin Cryptocurrency ke upar or aapko kya lagta hai isme kaam karna sahi hai ya nahi wo comment karke jarur bataye.. or agar aapka koi sabal ho to wo bhi aap comment karke puch sakte hai.

Comments (5)

  1. Deepak Kumar

Leave a Reply