Crypto World me jo sabse bada risk hai wo yahi hai, ki agar ek war hamara Crypto hamare pass se gaya to usko wapas lana naa mumkin samjo, or aese me agar hame apne Crypto ko secure karke rakhna hai to hame ye pata hona jaruri hai, hackers (Chor) kaise kaise Logo ke sath Fraud kar rahe hai taki hum dusro ki galti se sikh kar apne Crypto ko secure kar sake.

Haal hi me ek Vyakti ne Twitter par apne sath hue Dhoke ke ware me share kiya, jisme uske 8000 LUNA Token chori ho gaye.. Aaj 1 Luna Token ki Price $51.638 hai matlab 8000 Luna ki Total Value 8000×51.638 = $4,13,104 (₹3,11,26,766) hoti hai.
Luna Token Ka Abhi Price Kya hai wo aap yaha dekh sakte hai.
Tweet Aap yaha dekh sakte hai.
3 Crore ka Scam kaise hua uski Story?
User ne kuch din pehle hi New Laptop Liya tha, or usme Usne Chrome Browser Install kiya.. or usme TeraStation Addon Install karke Wallet se connect kiya AncherProtocoal ki website se.
Kal jab wo Chrome Browser me Anchor Borrow ko check kar raha tha, to achanak Tera Station(TS) Addon on Disconnect ho gaya usne dekha.
Jab TS Wallet ko jab double se connect karne ka try ki to dekha ki Extension reset ho gaya, to Double se open karne ke liye Seeds Enter kari.

Abhi tak sab kuch sahi lag raha tha, website bhi same thi kuch bhi gadbad nahi laga.
Kuch Time baad jab Anchor App ko Phone me open kiya to dekha ki wallet me sirf 62 Luna hai jabke wallet me 8062 Luna the.
ye dekhne ke baad jab usne pata karne ka try kiya ki ye kya hua or kaise hua.. to usko pata chala ki uske wallet se 8000 Luna kisi dusre wallet par transfer hue hai, ab wo samaj chuka tha ki uske crypto chori ho chuke hai..
Usne jab apne Chrome Crowser ki History dekhi to usko samaj aaya ki kya hua hai, par kaise hua wo samaj nahi aaya..
Browser history me wo Original Website par hi tha, par achanak se Original website ki jagha Same Phishing website aagai jo ke usne type nahi ki thi or naa kisi link par click kiya..
Or Phishing website bilkul original website ki trha thi, to usko laga ki uska extension reset ho gaya hai to usne seeds daal kar double se restore kiya uske baad wapas wo original website par redirect bhi ho gaya.. yaha usko samaj hi nahi aaya ki kab wo fake website par chala gaya or kab wapas original website par aa gaya..
Aap Browser history dekh sakte hai.. Original website or Fake website ek extension me antar hai.
Original website: app.anchoreprotocol.com
Fake website: app.anchoreprotocal.pro

Jo Fake website thi usne thoda bhi antar nahi tha, to user ko samaj hi nahi aaya ki kab wo fake website open hui or kab wo wapas original website par wapas aa gaya..
Fake Website aap ye dekh sakte hai, jo bilkul Original lag rahi hai sirf URL ko chor ke.

Iss tarah User ke sath Fraud hua or uski puri mehnat ki jama punji jo usne acha ghar or apne ache future ke liye jama ki thi wo ek pal me kho di.
User ka Main Wallet jisse Chori hui:
terra1safnrr8ccf5kn8s088369qn2rzwm9dfl2qgrds
Chor ka wallet jisme Fund Transfer hua:
terra1kmyttvg067lp7ua8jq3vnkrj7p4makd4g6md5u
User ne naya wallet banaya jisme usne bache fund ko baad me transfer kiya:
terra146xg0pwqr0gh328hnpppy8865hfvrrdnukrehk
Fraud Conclusion:
Fraud kaise hua wo to samaj aa gaya ki user ke samne achanak se fake website aagai jo bilkul dikhne me same thi, or uspar Seeds ko dalne ke karan Fund Chori hua.. par wo website kaise open hui kyu ki usko naa type kiya tha or naa kisi link par click kiya tha.. or bich me koi dusri website bhi open nahi ki thi..
To ab aap samajh gaye honge, ki Crypto ko Hacker kitni aasani se chura sakte hai, agar user thodi bhi laparwahi kare to.
Crypto ko Secure kaise kare
Ye jo Chori hui hai, uski keemat ₹3 Crore hai, jo ki kisi bhi person ke liye puri life ache se jine ke liye bahut hai.. or agar kisi ke itne paise chori ho gaye to uspar kya bitegi wo aap samaj hi sakte hai.. to aesa aapke sath naa ho uske liye aap kya kar sakte hai chaliye ab wo jaan lete hai.
Crypto me ek sabse Popular Line boli jati hai:
Agar Secret Key aapke paas nahi, matlab wo Crypto aapka nahi.
Matlab, jo bhi Crypto hai wo hamara sirf jab tak hai, jab tak uski secret Key (Seeds) hamare pass secure rahe. agar wo hum ne kho diya ya kisi ko pata chal gaya to wo badi aasani se hamare Crypto ko use kar sakta hai.
Matlab agar Crypto ko Secure rakhna hai, to hame apne Seed Phrase ko Secure rakhna hoga, or iska sabse Best Tarika hai Hardware Wallet: Ledger Nano S, Ledger Nano X, Trezor.
Iss ke Hack se Bachne ke liye, Inn bato ka dhiyan rakhe:
- Apne Crypto ko Secure rakhne ke liye Hardware Wallet ka hi use kare, jisse hamare Secret Key kabhi Internet se Connect hi naa ho jo hack hone ka chance rahe.
- Kisi bhi Unknown Link par kabhi click na kare, Crypto ki kisi bhi website par jane ke liye Twitter par Official Account par Link par click karke hi website ko open kare, Google par Kabhi search karke open naa kare, kyu ki Scammer Google par Fake website bana kar Ads RUN karke top par aa jate hai, or user Top par aa rahi website ko original samaj kar scam me fass jate hai.
- Kabhi bhi kisi bhi website par Apne Seed Phrase ko Enter naa kare.
- Kisi bhi kimat par Apne Seeds ko Digitally naa laye. (Naa Photo Click kare, ya usko Type karke Mobile ya Computer me save kare.) Offline Pen se likh kar sahi safe jagah rakhe.
- Jitni Bhi Crypto ki Official Website hai uski Link ko Bookmark karke rakhe, jisse aap Kabhi type kare to Original website hi open ho.
- Hamesa HTTPS me hi website ko access kare.
- Computer or Mobile me kuch bhi Unofficial tarike se Download naa kare.
- Telegram, Discord par koi bhi DM karke kuch bhi link send kare usko kabhi open naa kare.
- Jab bhi kisi bhi website par koi bhi Transaction kare, Bhale aap sahi website par ho par Kuch bhi Personal Detail, jese ID, password, Seeds ko dalne se pehle verify kare ki original website hai.
At Last:
Iss Hack se ye to samaj aa gaya ki jis user ki Crypto chori hui hai, or chota amount nahi tha.. or user ko security kaise rakhni hai wo bhi pata tha.. par Hacker ne pata nahi kaise automatic fake website par redirect kar diya bich me hi or fir double se original website par bhi redirect kar diya jiski usko koi bhanak tak nahi lagi.
To isse hame yahi sikh milti hai, kabhi bhi apne Seed Phrase ko kisi bhi website par Enter naa kare, or jab bhi koi Len den kare, ache se verify kare ki sab kuch sahi hai or aap sahi website par hai.
To ab aap mujhe batao aapki kya rai hai iss Hack ko lekar, kaha kya galti hui.. yaa iss tarah se Hack se bachne ke kya tarike ho sakte hai..
*Iss Article ko aap unn sabhi se jarur share kare, jo Crypto me Invest kiye hai.. taki wo bhi samaj sake ki bhale wo original website par hai, par aesa unke sath bhi ho sakta hai ki jab wo apni personal detail dale uss time wo kisi fake website par redirect ho jaye or unko pata hi naa chale.
Comments (No)