Agar aap Bitcoin ya cryptocurrency me kaam karte hai, to aapne ye jarur suna hoga ki Bitcoin sabse jada secure hai or Bitcoin ko Hack nahi kar sakta, to haa ye baat sach hai.. par uske sath sath aapko ye bhi pata hona chaiye ki online kuch bhi secure nahi hai jab tak ham khud uski security naa rakhe.
Bitcoin ki Security or Privacy ke ware me mene pichli ek post me 20 point bataye the, wo aapko jarur pata hona chaiye, jab hi aap apne bitcoin ko secure rakh sakte hai..
Bitcoin Hack karna Impossible hai, par agar Bitcoin Private Key kisi ko pata chal jaye, to samjo hamare bitcoin hi unke pass chale gaye, isliye Private key ki security bhut jaruri hai, or wo ham apne pass hi rakhe jab hi puri security hai.
To chaliye ab jaan lete hai World ki sabse badi Bitcoin choriyo ke ware me, taki ham aesi kisi condition se bach kar sake.
Top Bitcoin Hack | Bitcoin ki sabse badi Chori
1. Mt. Gox
- Hack Date: 19 June 2011
- Hacked: 2609 BTC | 750,000+ BTC
Mt. Gox World ka sabse bada bitcoin exchange tha uss time, jo Japan ka tha..
Jiske ware me bhut kam log jante hai ki wo Exchange ek war nahi, 2 war hack huaa tha.
Phela Hack June 2011 me huaa tha, jisme Mt.Gox ke ID Password hack karke Hacker ne 2609 Bitcoin aese address par send kar diye the jiski private key Mt.Gox ke pass nahi thi..
Second time 2014 me hack hua, uss time Mt.Gox exchange par world ka 70% bitcoin transaction ka kaam hota tha, or iss time jo bitcoin amount chori huaa tha wo bhut bada tha jiske karan exchange ko band hi hona pada.
ustime me 750,000 BTCs se bhi jada hack huee the, jinki kimat agar ham aaj dekhe to ₹647,330,475,000 hoti hai.
Iska natija ye huaa, jitne bhi logo ne usme bitcoin rakhe hue the unhone apne bitcoin kho diye, or uska koi refund bhi unhe nahi mila.
2: BitFloor
- Hack Date: September 2012
- Hacked: 24,000 BTC
ye bhi ek purana exchange tha, jisme jo private ki hai unko unencrypted form me online hi backup leke rakha hua tha, jisse Hacker ne unko hack karke 24,000 BTC chura liye.
BitFloor ke pass se jo amount chori hua tha wo unhone unke users ko wapas to kar diya, par bank regulatory ke karan usko band karna pada.
3: Poloniex
- Hack Date: 4th March 2014
- Hacked: 12.3% of all BTCs (97 BTC)
Poloniex, jo ki sabse bade exchange me se ek hai jispar Bitcoin or Altcoin me trading kar sakte hai, wo bhi 2014 me hack huaa tha. Fix number to company ne nahi bataya ki kitne BTC chori hue hai, par aesa kaha ja raha tha ki jo total amount tha uss time uske 12.3% BTC chori hua tha.
Hacker ne kisi trha se Poloniex ke withdrawal code me kuch gadwad ki thi, to jitne bhi logo ne uss time withdrawal kiya unka bitcoin hack ho raha tha.
Poloniex ko jese hi iske ware me pata chata, unhone kuch time ke liye withdrawal process ko stop kar diya, fir usko sahi karke start kiya.. Poloniex abhi bhi badiya tarike se chal raha hai.
isme jitne logo ka nuksan hua tha wo Poloniex ne apni taraf se unko pay kiya.
4. Bitstamp
- Hack Date: 4th January 2015
- Hacked: 19,000 BTC
ye Exchange 2011 me start hua tha jo Mt.Gox se jada safe or secure tha, par wo bhi hack hua 2015 me.
4 January 2015 ko Bitstamp ne bataya ki kisi anjan hacker ne unke wallet hack karke 19,000 bitcoins (Rupee me ₹16,477,757,719) hack kiye hai.
kher kuch time me Bitstamp ne logo ka bharosa fir se jit liye, or ek secure wallet ko intregate kiya apne exchange me. jisme transaction karne ke liye ek se jada war conformation password lagte hai.
5. Bitfinex
- Hack Date: August 2016
- Hacked: 120,000 BTC
Ye 2nd sabse Bada Bitcoin hack hai Mt.Gox ke baad, jisme 120,000 BTCs hack hue hai (Rupee me ₹104,070,048,753)
Ye Hack hone ka karan tha Hacker ne kuch khami pata karli thi Bitfinex or BitGo ke Wallet intrigation me.
Par yaha achi baat ye thi, Bitfinex ne BFX tokens diye the jinka nuksan hua tha jo wo chahe to USD me bhi convert kar sakte the. matlab lagbhag sabhi ko apna paisa wapas mil gaya the kuch time me.
Abhi Bitfinex badiya tarike se chal raha hai, or abhi sabse popular world exchange me aata hai Crypto World me.
More Bitcoin Hacks
Kuch or bade Bitcoin Hacks hue jo aap list me dekh sakte hai, kab or kitne BTCs hack hue hai.
iske aalawa abhi ek or case aaya tha, jisme ek Exchange ke Owner ko kidnap karke usse jabarjusti 10,000 BTC transfer kara liye..
Aap Bitcoin Security or Privacy Points ko jarur read kare, agar aap kisi trha ke nuksan se bachna chate hai to..
In sab Hack se hame ye sikh milti hai, ki jitne bhi Hack hue hai wo Bitcoin Private ki sahi se security naa hone ke karan hack hue hai, to agar aap bitcoin me kaam karte hai to ye aapka kaam hai ki aap apne bitcoin Private Key ko khud secure karke rakhe.
Sabse Best or secure tarika hai, aap Bitcoin ko hardware Wallet me rakhe, jiske liye Ledger Nano S sabse best hai Hardware Wallet hai, q ki wo net se connect hi nahi hota to usko hack karna impossible hai.
*Hardware Wallet kaise use kart hai uske ware me jald hi detail me step by step process share karuga, taki aap usko achi se samaj sake, uske notification ke liye niche jo Bell ka icon hai unko on jarur kare.
At Last:
Itne bade bade hack hue hai, usse hame ye hi sik milti hai Internet par kuch bhi secure nahi hai, bhale ham World ke sabse secure site ka use kare, par wo bhi hack ho sakti hai.. isliye kabhi bhi apne Cryptocurrency online exchange me naa rakhe.
Bitcoin kharidne ke liye Exchange bhut se aa chuke hai, jinse aap bitcoin kharid kar paise kama sakte hai par iska koi daba nahi kar sakte ki wo exchange kabhi hack nahi ho sakte.. isliye chahe kahi se bhi bitcoin kharido usko secure wallet me hi rakhe apne pass, Bitcoin Secure Wallet ki list mene share ki hai.
Aapko ye jankari kesi lagi or aapko in hacking se kya sikh mili wo comment me share kare.. or inke aalawa bhi koi Hacking case huaa ho jo aapko paa ho to wo bhi sabse comment me share kare..
Bit coin fek Hai Kya kuch site santoshi dete hi nai
Bhai free me kuch nahi milta. Jis din aap ye sahi se samaj jayege. Aapko pata chal jayega q nahi dete..
Bahut Acchi Jankari Di hai Apne Rohit Sir.
Hame Bitcoin ke liye bahut kuch Sikhne ko Mila.
Apke blog ka Design bhi accha hai.
Thanks bhai
Bitcoin ab india me ban hai na sir aur kya sach me bitcoin me bhi chori hoti hai?
Hi there. Thanks a lot! Useful article!.
Sir, Bitcoin Ki Price To Low Hoti Ja Rhi Hai.
Kuchh Suggestions Dijiye